The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ik aalam-e-hairat hai fanaa hai na baqaa hai hairat bhii ye hai ki kyaa jaaniye kyaa hai sau baar jalaa hai to ye sau baar banaa hai ham soKhtaa jaano.n kaa nasheman bhii balaa hai hoTho.n pe tabassum hai ki ek barq-e-balaa hai aa.nkho.n kaa ishaaraa hai ki sailaab-e-fanaa hai sunataa huu.N ba.De gaur se afasaanaa-e-hastii kuchh Khvaab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adaa hai hai tere tasavvur se yahaa.N nuur kii baarish ye jaan-e-hazii.n hai ki shabistaan-e-hiraa hai
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.