aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa
kyaa kahuu.N aur kahane ko kyaa rah gayaa 

un kii aa.Nkho.n me.n kaise chhalakane lagaa
mere ho.nTho.n pe jo maajaraa rah gayaa 

aise bichha.De sabhii raah ke mo.D par
aaKharii ham_safar raastaa rah gayaa 

soch kar aao kuu-e-tamannaa hai ye
jaaneman jo yahaa.N rah gayaa rah gayaa