The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ab hai Khushii Khushii me.n na Gam hai malaal me.n duniyaa se kho gayaa huu.N tumhaare Khayaal me.n mujh ko na apanaa hosh na duniyaa kaa hosh hai mast hoke baiThaa huu.N tumhaare Khayaal me.n taaro.n se puuchh lo merii rudaad-e-zindagii raato.n ko jaagataa huu.N tumhaare Khayaal me.n [rudaad = story] duniyaa ko ilm kyaa hai zamaane ko kyaa Khabar duniyaa bhulaa chukaa huu.N tumhaare Khayaal me.n [ilm = knowledge] duniyaa kha.Dii hai muntazir-e-naGmaa-e-alam ’Behzad’ chup kha.De hai.n kisii ke Khayaal me.n
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.