The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
tum naGmaa-e-maah ho anjum ho tum soz-e-tamannaa kyaa jaano tum dard-e-muhabbat kyaa samajho tum dil kaa ta.Dapanaa kyaa jaano [maah = moon; anjum = star; soz = burning/heat] sau baar agar tum ruuTh gaye ham tum ko manaa hii lete the ik baar agar ham ruuTh gaye tum ham ko manaanaa kyaa jaano taKhriib-e-muhabbat aasaa.N hai taamiir-e-muhabbat mushkil hai tum aag lagaanaa siikh gaye tum aag bujhaanaa kyaa jaano [taKhriib = destruction ; taamiir = construction] tum duur kha.De dekhaa hii kiye aur Duubane vaalaa Duub gayaa saahil ko tum manzil samajhe tum lazzat-e-dariyaa kyaa jaano
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.