milii havaao.n me.n u.Dane kii vo sazaa yaaro
ke mai.n zamiin ke rishto.n se kaT gayaa yaaro  

vo be-Khayaal musaafir mai.n raastaa yaaro
kahaa.N thaa bas me.n mere us ko rokanaa yaaro  

mere qalam pe zamaane kii gard aisii thii
ke apane baare me.n kuchh bhii na likh sakaa yaaro 

tamaam shahar hii jis kii talaash me.n gum thaa
mai.n us ke ghar kaa pataa kis se puuchhataa yaaro