The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
aa bhii jaao kii zindagii kam hai tum nahii.n ho to har Khushii kam hai vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n shahar me.n aaj raushanii kam hai jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa aaj kal un kii dostii kam hai tere dam se hii mai.n mukammal huu.N bin tere terii ’Yamini’ kam hai
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.