The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
ham to chalate hai.n lo Khudaa haafiz but_kadaa kaa buto.n Khudaa haafiz kar chuke tum nasiihate.n ham ko jaao bas naaseho Khudaa haafiz aaj kuchh aur tarah par un kii sunate hai.n guftaguu Khudaa haafiz bar yahii hai hameshaa zaKhm pe zaKhm dil kaa chaaraaGaro.n Khudaa haafiz aaj hai kuchh ziyaadaa betaabii dil-e-betaab ko Khudaa haafiz kyo.n hifaazat ham aur kii Dhuu.Ndhe.n har nafas jab ki hai Khudaa haafiz chaahe ruKhsat ho raah-e-ishq me.n aql ai "Zafar" jaane do Khudaa haafiz
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.