subah ro ro ke shaam hotii hai
shab ta.Dap kar tamaam hotii hai 

saamane chashm-e-mast ke saaqii
kis ko parvaah-e-jaam hotii hai 

ko_ii Gunchaa khilaa ke bul-bul ko
bekalii zar-e-daam hotii hai 

ham jo kahate hai.n kuchh ishaaro.n se
ye Khataa laa-kalaam hotii hai