The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
kyaa ummiid kare ham un se jin ko vafaa maaluum nahii.n Gam denaa maaluum hai lekin Gam kii davaa maaluum nahii.n jin kii galii me.n umr ga.Nvaa dii jiivan bhar hairaan rahe paas bhii aake paas na aaye jaan ke bhii a.njaan rahe kaun sii aaKhir kii thii hamane aisii Khataa maaluum nahii.n ai mere paagal armaano.n jhuuThe ba.ndhan to.D bhii do ai merii zaKhmii ummiido.n dil kaa daaman chho.D bhii do tum ko abhii is nagarii me.n jiine kii sazaa maaluum nahii.n
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.