The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Jab raat ki naagin dasti hai
Nass nass main zehar utarta hai
Jab chand ki kirnain taizi say
Iss dill ko cheer kay aati hain
Jab aankh kay andarr hi aansoo
Zanjeeron main bandh jaatay hain
Sab jazbon parr chaa jaatay ho
Tab yaad bohat tum aatay ho
Jab dard ki jhanjharr bajti hai
Jab raqs ghamon ka hota hai
Khuwabon ki taal pay saaray dukh
Wehshat kay saaz bajatay hain
Gaatay hain khuwahish ki lae main
Masti main jhoomtay jaatay hain
Sab jazbon parr chaa jaatay hain
Tab yaad bohat tum aatay ho
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.