Jis simt bhii dekhoon nazar aataa hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaa ye koii tum saa hai ke tum ho

Ye Khwaab hai, Khushboo hai, ke jhonkaa hai, ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

Is diid kii saaat mein kaii rang hain larazaan
Main hoon ke, koii aur hai, duniyaa hai, ke tum ho

Dekho ye kisii aur kii aankhein hain ke merii
Dekhoon ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho

Ye umr-e-gurezaa kahiin tehray to ye jaanoo
Har saans mein mujh ko ye lagtaa hai ke tum ho

Har bazm mein mauzuu-e-suKhan dil zad_gaan kaa
Abb kaun hai, farhaad hai, ke majnoo hai, ke tum ho

Ek dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main hoon
Ek mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho

Wo waqt na aaye ke dil-e-zaar bhii sochey
Is shehar mein tanhaa koii hum saa hai ke tum ho

Ae jaan-e-’Kainat’ itnii bhii taufeeq kisey thii
Hum ko Gam-e-hastii bhii gawaaraa hai ke tum ho