Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha,
Ye aur baa tab woh hamara nahi raha,

Ansoo tere b khushk hoye aur mere b,
Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha,

Kuch din tumhare laot k ane ki aas thi,
Ab us umeed ka b sahara nahi raha,

Reste Meh-o-Najoom k tabdeel ho gye,
In khidkiyon main aik b tara nahi raha,

Samjhe the dosron se bohat mukhtlaf tujhe,
Kya maan lain k tu b hamara nahi raha?

Hathon pe bujh gai ha muqaddar ki kehkshan,
Ya rakh ho gya woh sitara nahi raha,

Tum aitbar is k lye kyon udas ho,
Ik shakhs jo kabi b tumhara nahi raha