The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
Kuch ishq tha,kuch majbori thi so main ne jewan haar diya
main kaisa zinda aadmi tha ek shaks ne mujhko maar diya
ek sabz shaakh gulaab ki thi ek duniya apnay khawaab ki thi
wo ek bahaar joaae nahi us k liye sub kuch haar diya
ye saja sajaya ghar saathi meri zaat nahi mera haal nahi
aay kaash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diya
main kholi hoe ek sachchai mujhay jaannay walay jaantay hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se piyaar kia
wo ishq bohat mushkil tha magar aasan na tha u jena bhe
es ishq ne zinda rehnay ka mujhay dars diya pindaar diya
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.