Tere jaisa mera b halt ha, na skoon tha na qrar tha,
Yahi umar thi mere hamnasheen k kisi se mujh ko b pyar tha,

Main samjh raha hon teri kask, tera mera dard ha mushtrak,
Isi gum ka tu b aseer ha, isi dukh ka mai b shikar tha,

Faqt aik dhun thi k raat din isi khawab zaar main guum rahain,
Woh saroor aisa saroor tha, woh khumar aisa khumar tha,

Kabi lamha bhar ki b guftgu meri us k saath na ho saki,
Mujhe furstain nahi mil sakin, woh hawa k rath pr swart tha,

Hum ajeeb tarz k log the k hamare aur he rog the,
Main khazan main us ka tha muntzar, use intzar bahar tha,

Use padh k tum na samjh sake k meri kitab k roop main,
Koi qarz tha kai saal ka, kai rat jogoon ka udhar tha