yahaa.N se ab kahii.n le chal Khayaal-e-yaar mujhey
chaman me.n raas na aayegii ye bahaar mujhey

terii latiif nigaaho.n kii Khaas jumbish ne
banaa diyaa terii fitarat kaa raazadaar mujhey

merii hayaat kaa a.njaam aur kuchh hotaa
jo aap kehtey kabhii apnaa jaa.N-nisaar mujhey

badal diyaa hai nigaaho.n ne ruKh zamaane kaa
kabhii rahaa hai zamaane pe iKhtiyaar mujhey

ye haadasaat jo hai.n iztaraab kaa paiGaam
ye haadasaat hii aaye.ngey saazagaar mujhey