Yeh Raat BePanah thi aur may Ghareeb Tha
Woh Jis Nay yeh Chiragh Jalaya Ujeeb Tha..
Woh Roshni keh Aakh Uthai nahi Gai…….
Kal Mujh say mera Chand bohat hi Qareeb Tha
Rekhta na Kyun may Rooh-o-Badan Uskay samnay
Woh yun bhi tha Tabib ,woh yun bhi Tabib Tha
Her Silsila tha Uska Khuda say mila hoa…….
Chup ho K Lub Kusha ho ,Bala ka Khateeb Tha
May Bhi Raha hoon Khalwat-e-Janaa me Aik Shaam
Yeh Khawab hay ya Waqai May Khush Naseeb Tha
Herf-e-Dua-wa-Dast-e-Sakhawat kay Bab me
Khud Mera Tajerba hay Woh behad Najeeb Tha
Dekha hay Usko khalwat-o-Jalwat me Barha
Woh Aadmi bohat hi Ujeeb-o-Ghareeb Tha
Likhho Tamam Umr magar Phir bhi Tum ALEEM
Usko Dikha na pao woh Aisa HabibTha.