lab-e Khaamosh se afshaa hogaa
raaz har rang me.n rusvaa hogaa 

dil ke saharaa me.n chalii sard havaa
abr gul_zaar pe barasaa hogaa 

tum nahii.n the to sar-e-baam-e-Khayaal
yaad kaa ko_ii sitaaraa hogaa 

kis tavaqqo pe kisii ko dekhe.n
ko_ii tum se bhii hasii.n kyaa hogaa 

ziinat-e-halqaa-e-aaGosh bano
duur baiThoge to charchaa hogaa 

zulmat-e-shab me.n bhii sharmaate ho
dard chamakegaa to phir kyaa hogaa 

jis bhii fan_kaar kaa shaahakaar ho tum
us ne sadiyo.n tumhe.n sochaa hogaa 

kis qadar karb se chaTakii hai kalii
shaaKh se gul ko_ii TuuTaa hogaa 

umr bhar roye faqat is dhun me.n
raat biitii to ujaalaa hogaa 

saarii duniyaa hame.n pahachaanatii hai
ko_ii ham-saa bhii na tanhaa hogaa