The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
labo.n pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaye.N Khudaa kare mere aa.Nsuu kisii ke kaam aaye.N jo ibtadaa-e-safar me.n diye bujhaa baiThe vo bad_nasiib kisii kaa suraaG kyaa paaye.N talaash-e-husn kahaa.N le chalii Khudaa jaane umang thii ki faqat zindagii ko apanaaye.N bulaa rahe hai.n ufaq par jo zard-ruu Tiile kaho to ham bhii fasaane ke raaz ho jaaye.N na kar Khudaa ke liye baar-baar zikr-e-bahisht ham aasmaa.N kaa mukarrar fareb kyo.n khaaye.N tamaam maikadaa sun_saan maigusaar udaas labo.n ko khol kar kuchh sochatii hai.n miinaaye.N
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.