The biggest Urdu poetry web site of the world. Thousands of Urdu poems/ghazals. No need to download or install any font. First and largest Urdu portal from Pakistan.
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa maqaam-e-suud-o-ziyaa.N aa gayaa hai phir jaanaa.N ye zaKhm mere sahii tiir to uThaa le jaa yahii hai qismat-e-saharaa yahii karam teraa ki buu.Nd buu.Nd ataa kar ghaTaa ghaTaa le jaa Guruur-e-dost se itanaa bhii dil_shikastaa na ho phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa nadaamate.n ho.n to sar baar-e-dosh hotaa hai ’Faraz’ jaa.N ke evaz aabaruu bachaa le jaa
Leave a reply
You must be logged in to post a comment.